Save Yourself From Hackers
Internet ki dunya main hacking aur virus phelana bohat aam hogya hai
agar aap yeh mehsos karain k aap ka internet slow chalnay lag gya hai
aur aap ka pc b bohat memory ly raha hai to aap ko yeh sochna chahyeh hai
k koi aap ko infect to nai kr chuka
Aaj main aap ko aik aisa tutorial ya trick keh lain btata hun
Jis sy aap asaani sy yeh maloom kar sktay hain k aap k pc k sath aur kon kon connect hai
jab b koi aap ko hack karay ga to woh tab he aap ki info ly sakay ga jab aap internet sy connect hongay
yeh aik bohat he aasan tarika hai jo k yun keh lain k basic hai is main koi
rocket science nai chahyeh yeh dekhnay main k kahein aap ka pc hack to nai.
Note: Yeh tutorial aap k virus ko detect nai karay ga blkay hacker ko detect karay ga.
sab sy pehly aap start task manager phr processes main jaen
wahan dekhain k kon si exe file hai jo zyada memory lay rai hai?
aur phr uski description dekhain aya woh mozila, chrome ya antivirus to nai
ab aap yeh dekhain k koi aap k computer sy connect to nai
networking maps k lye bohat programms hain market main jaisay wireshark wgaira magar
yahan aap aik simple command sy dekhain
windows-->cmd--> yahan type karain netstat
phr woh aap ko kuch aisi window dy ga jis main aap k connection details hongi
Code:
Active Connections
Proto Local Address Foreign Address State
TCP 192.168.0.103:139 192.168.0.101:60172 ESTABLISHED
ab aap type krain netstat -ano
Yeh aap ko kuch yun result dy ga
aik aisa foreign ip 77.234.42.51.80 and pid (processid) 1396 jo meray sy connect hai mjhy is ka maloom nai k yeh hai kon
chalain check krtay hain
dobara task manager kholain
upper properties window-->click view--> click on pid
ab aap dekhain k yeh 1396 kis ki process id hai
ab jab hum ny dekha to yeh avast ka process hai so it means sab thek hai
magar aap hacker to laat maar kr wahan sy nikal sktay hain agar koi unknown connection dekhain to
usay task manager main ja kar right click--> end process kar dain.
yeh aik asaan aur simple tarika tha apnay pc ko hackers sy bchanay k lye
advance tarikay aainda post krunga.
Note:Yeh tutorial aik aam computer user jo networking nai janta us ko dekhtay huy bnaya hai
is saray process ko check karnay k lye behter hai k aap apnay saray kaam bnd kr k check krain to zyada acha hai kam network chalaingay aur aap thek sy detect karlaingy.
TumHarI BE'RUKHI PaR BHI LutA DI ZindagI HuM NE,
AgaR TuM MEHARBAN HotaY TO SocHO HuM KyA KartaY.
AgaR TuM MEHARBAN HotaY TO SocHO HuM KyA KartaY.
0 comments:
Post a Comment
Thanks For Your Feedback